Na aansoo bahane ko jee Chahta hai,
Likhu to kya likhu teri Yaad Mein,
Bus tere pass laut aane ko jee chahta hai..
Dil Ne Kaha Yaad Karte Rehna
Mann Hi Mann Baat Karte Rehna
Wo Hamare Dard Ki Fariyad Sune Na Sune
Apna To Farz Hai Unhe Pyar Karte Rehna!
Is kadar wo yad karte hai hame
Ankho hee ankho me baya karne wale
Dete hai hai muskrahat ka tohfa,
Kal tak jo bhool baithe the hame
Gaflat me hoo khawab hee lagata hai
Unkaa fir aanaa ek chahat see jagata hai
Jee chata hai thaam loo daaman unka
Par fir us toote hue dil ka khyal ataa hai
Kis kadar wo chahte the hame
Har pal pahloo me rahne wale
Dawaa karte the marham bane ka jo
Wahee jakhm gaharaa de gaye the hame
Wo to bhoola baithe the iskadar hame
Ham hai kee khawabo me unhe hee dekhte hai
Aaj aye hai wo fir ek gujarish ke saath
Kya toote hooe dil ko jod payenge wo..?
Sunsan sarak k sookhay hue peepal ki tuti hui tehni k murjhaye hue
pattey pay baithay hue bhoot k pair se nikaltay hue khoon par baithe
hue beemaar bacteria ki kasam…….. I miss you
kuchh beete hue lamho se mulakat hui
kuchh tute hue sapno se baat hui
yaad jo karne baithe un tamam yaado ko
to aapki hi yaado se shuruat hui
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi…
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai hi milegi !
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL
me ANJAAN keh diya hain….
Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyana banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !
Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya.
“Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi”
UNHE KISSA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE
KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE
KISSI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE
KEHDE KOI UNSE…..
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE.
Girls Collage mai Strike ho gai,Sabhi girls Nare Laga rahi hai,
Girls k satth Boys bhi unka satth de rahe hai,
Girls ne Nare lagate huye “HAMARI MANGE….,
Piche se Awaz aye,”SINDUR SE BHARO….”.
………… ……… ……… ……… ……..
Wife : Ek baat bolu??
Husband : Bolo
Wife : Maaroge to nahi?
Husbund : Nahi to, kya baat hai?
Wife : mai pregnant hun
Husband : Hurray!!! Its gud news, dar kyu rahi thi??
Wife : College ke dino mai papa ko bataya tha to badi maar padi thi.
………… ……… ……… ……… ……..
Lalu Goes 2A Shop & Asks:
A Bandarva Ka Photu Kitne Ka He Re?
Shopkepper: Woh Phutwa Nahin Sahib
Wo To Seesa (Mirror) He!
………… ……… ……… ……… ……..
Sweetest Proposal by a kg class Boy
Boy:Kya tu mujhse shadi kalegi?
Gal:Nahi
Boy:Kalle na plz
Gal:nahi mai nahi kalungi….. ..
Boy:kall na didi plzzzzzzzzzz
Kai baar jante hue bhi Dil toda uska
Shayad ab woh faisla kar le juda hone ka
per har baar woh paas aate gaye…
Zindagi
Zindagi socho aur musibat ka samandar hai.
Insaan zindagi ke aadhe gam galat ummide bandh kar khud kharidta hai.
Zindagi aisa Pendolam hai jo gamo aur khushiyo ke bich jhulta hai.
Mohabbat ke bagair bekar hai Zindagi aur Bewajeh hai.
Jab tak Zindagi baaki hai Mout se ladte raho, aur jab Maut aaye to Zindagi se izzazat mang lo.
Zindagi sirf jine ka naam nahi, zindagi naam hai mohabbat ka, ibaadat ka aur insaniyat ki khidmat karne ka.
Maut
Maut aman aur sukun ka samndar hai.
Maut saare gamo ka ilaaj hai.
Maut itni taklif deh nahi hoti jitni Zindagi.
Maut ko hamesha yaad rakho magar uski aarzo na karo.
Buzdil insaan Maut aane se pehele kai baar marta hai.
Mayusi se badkar duniya mai koi chij buri nahi hai, mayusi Maut ka dusra naam hai.
Dukh Fasana Nahin Ke Tujh Se Kahain
Dil Bhi Mana Nahin Ke Tujh Se Kahin
Aaj Tak Apni Be Kuli Ka Sabab
Khud Bhi Jana Nhain Ke Tujh Se Kahin
Ek To Haf-e-aashna Tha Mager
Ab Zamana Nahin Ke Tujh Se Kahin
Aye Khuda Dard-e-dil Hay Bakhshish-e-dost
Aab o dana Nahin ke Tujh Se Kahin
Dear Jaan,
Toote howe khawabon mein haqiqat dhundta hoon,
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon.
Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha,
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon.
Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin,
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon.
Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin,
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon.
Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri,
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon.